Search This Blog

Wednesday 1 May 2013

Aashiqui 2 Lyrics


Tum Hi Ho Lyrics

Hum tere bin ab reh nahi sakte
Tere bina kya wajoodh mera

Hum tere bin ab reh nahi sakte
Tere bina kya wajoodh mera
Tujhse juda agar ho jaayenge
Toh khud se hi ho jaayenge juda
Kyunki tum hi ho, ab tum hi ho
Zindagi ab tum hi ho
Chayn bhi, mera dard bhi
Meri aashiqui, ab tum hi ho

Tera mera rishta hai kaisa
Ik pal door gawara nahi
Tere liye har roz hai jeete
Tujhko diya mera waqt sabhi
Koi lamha mera na ho tere bina
Har saans pe naam tera
Kyunki tum hi ho ab tum hi ho
Zindagi ab tum hi ho
Chayn bhi mera dard bhi
Meri aashiqui ab tum hi ho

Tum hi ho.. tum hi ho..

Tere liye hi jiya main
Khud ko jo yun de diya hai
Tere wafaa ne mujhko sambhala
Saare ghamo ko dil se nikala
Tere saath mera hai naseeb judha
Tujhe paake adhoora na raha

Kyunki tum hi ho, ab tum hi ho
Zindagi ab tum hi ho
Chayn bhi, mera dard bhi
Meri aashiqui, ab tum hi ho
Kyunki tum hi ho, ab tum hi ho
Zindagi ab tum hi ho
Chayn bhi, mera dard bhi
Meri aashiqui, ab tum hi ho


Download






Sunn Raha Hai Lyrics

Apne karam ki kar adaayein..
Yaara, yaara.. yaara

Mujhko iraade de
Kasamein de, vaade de
Meri duaaon ke ishaaron ko sahaare de
Dil ko thikaane de
Naye bahaane de
Khwaabon ki baarishon ko
Mausam ke paymaane de
Apne karam ki kar adaayein
Kar de idhar bhi tu nigaahein

Sunn raha hai naa tu
Ro raha hoon main
Sunn raha hai naa tu
Kyun ro raha hoon main
Sunn raha hai naa tu
Ro raha hoon main
Sunn raha hai naa tu
Kyun ro raha hoon main

Manzilein ruswa hain
Khoya hai raasta
Aaye le jaaye
Itni si ilteja
Yeh meri zamanat hai
Tu meri amaanat hai haan...

Apne karam ki kar adaayein
Kar de idhar bhi tu nigaahein
Sunn raha hai naa tu
Ro raha hoon main
Sunn raha hai naa tu
Kyun ro raha hoon main

Waqt bhi thehra hai
Kaise kyun yeh huaa
Kaash tu aise aaye
Jaise koi duaa
Tu rooh ki raahat hai
Tu meri ibaadat hai

Apne karam ki kar adaayein
Kar de idhar bhi tu nigaahein

Sunn raha hai naa tu
Ro raha hoon main
Sunn raha hai naa tu
Kyun ro raha hoon main
Sunn raha hai naa tu
Ro raha hoon main
Sunn raha hai naa tu
Kyun ro raha hoon main

Yaara...

Download






Chahun Main Ya Naa Lyrics

Tu hi yeh mujhko bata de
Chahun main ya naa
Apne tu dil ka pata de
Chahun main ya naa

Tu hi yeh mujhko bata de
Chahun main ya naa
Apne tu dil ka pata de
Chahun main ya naa

Itna bata doon tujhko
Chaahat pe apni mujhko
Yun toh nahi ikhtiyaar
Phir bhi yeh socha dil ne
Ab jo laga hoon milne
Poochu tujhe ek baar

Tu hi yeh mujhko bata de
Chahun main ya naa
Apne tu dil ka pata de
Chahun main ya naa

Aisi kabhi pehle hui naa thi khwaahishein
Oo.. kisi se bhi milne ki
Naa ki thi koshishein
Uljhan meri suljha de
Chaahun main ya naa
Aankhon aankhon mein jataa de
Chaahun main ya naa

Mere chhote chhote khwaab hain
Khwaabon mein geet hai
Geeton mein zindagi hai
Chaahat hai, preet hai
Abhi main na dekhun khwaab woh
Jin mein na tu mile
Le khole honth maine
Ab tak the jo sile

Mujhko na jitna mujhpe
Utna iss dil ko tujhpe
Hone laga aitbaar
Tanha lamhon mein apne
Bunti hoon tere sapne
Tujhse hua mujhko pyaar oo..
Poochungi tujhko kabhi naa
Chaahun main ya naa
Tere khaabon mein ab jeena
Chaahun main kyun naa

Tu hi yeh mujhko bata de
Chahun main ya naa
Apne tu dil ka pata de
Chahun main ya naa



Download




Hum Mar Jayenge Lyrics

Apni aankhein khaali kar de
Kaash tu meri aankhein bhar de
Kaash tu meri aankhein bhar de

Mere yaara tere gham, agar paayenge
Humein teri hai kasam, hum sanwar jayenge

Hoo mere yaara tere gham, agar paayenge
Humein teri hai kasam, hum sanwar jayenge

Doon yeh saugaat tum, toh zamaane ki hum
Doon yeh saugaat tum, toh zamaane ki hum
Har khushi se mukar jaayenge
Hum marr jaayenge
Hoo hum marr jaayenge

Mere yaara tere gham agar paayenge
Humein teri hai kasam, hum sanwar jayenge

Tere kaandhe se hi lag ke
Yaara beete umar saari
Socho kaisi hogi kismat
Hua yun toh phir humaari
Saare aansoon toh ho tere
Aur aankhein ho humaari
Tere dard humein, jo mile pyaar mein
Tere dard humein jo mile pyaar mein
Hum khushi se yun bhar jayenge
Hum marr jaayenge hoo
Hum marr jaayenge

Mere yaara tere gham, agar paayenge
Humein teri hai kasam, hum sanwar jayenge

Chaahe dukh ho, chaahe sukh ho
Dil ne tujhko hi pukaara
Tune humko hai banaaya
Tune humko hai sanwaara
Jahaan ko rab ka hai, humein tera hai sahaara
Bas tera saath ho, chaahe jo baat ho
Bas tera saath ho, chaahe jo baat ho
Tere kehne se kar jaayenge
Hum marr jaayenge oo
Hum marr jaayenge

Mere yaara tere gham agar paayenge
Humein teri hai kasam, hum sanwar jayenge

Mere yaara tere gham agar paayenge
Humein teri hai kasam hum sanwar jayenge



Download






Milne Hai Mujhse Aayi Lyrics

Milne hai mujhse aayi
Phir jaane kyun tanhaai
Kis modh pe hai laayi aashiqui
Oo.. khud se hai ya khuda se
Iss pal meri ladaai
Kis modh pe hai laayi aashiqui
Oo...

Aashiqui baazi hai taash ki
Toot te bann te vishwaas ki
Oo.. milne hai mujhse aayi
Phir jaane kyun tanhaai
Kis modh pe hai laayi aashiqui

Jaane kyun main sochta hoon
Khaali sa main, ik raasta hoon
Tune mujhe kahin kho diya hai
Yaa main kahin khud laapata hoon
Aa dhoond le tu phir mujhe
Kasamein bhi doon toh kya tujhe..

Aashiqui baazi hai taash ki
Toot te bann te vishwaas ki
Oo.. milne hai mujhse aayi..
Phir jaane kyun tanhaai
Kis modh pe hai laayi aashiqui

Toota hua saaz hoon main
Khud se hi naaraz hoon main
Seene mein jo kahin pe dabi hai
Aisi koi aawaaz hoon main
Sunn le mujhe tu bin kahe..
Kab tak khamoshi dil sahe..

Aashiqui baazi hai taash ki
Toot te bann te vishwaas ki
Aashiqui baazi hai taash ki
Toot te bann te vishwaas ki

Oo milne hai mujhse aayi
Phir jaane kyun tanhaai
Kis modh pe hai laayi aashiqui

Oo khud se hai ya khuda se
Iss pal meri ladaai
Kis modh pe hai laayi aashiqui
Oo ho...

Aashiqui baazi hai taash ki
Toot te bann te vishwaas ki


Download

No comments:

Post a Comment